KHub thi wo ghaDi ki jab donon the ek hisar mein
ḳhuub thī vo ghaḌī ki jab donoñ the ik hisār meñ
maiñ thā tire ḳhumār meñ tū thā mire ḳhumār meñ
nuur se mire ishq ke nikhre the is ke ḳhadd-o-ḳhāl
rañg thā mire ḳhvāb kā aks jamāl-e-yār meñ
go thī kashish hamāre beach baare baham na ho sake
maiñ thā alag madār meñ vo thā alag madār meñ
ḳhvāhish-e-vasl-e-yār to puurī na ho sakī magar
dasht-e-hayāt kaT gayā vahshat-e-intizār meñ
marzī se kab huā koī ishq-e-butāñ meñ mubtalā
kaun ye rog pāltā hotā jo iḳhtiyār meñ
naġhme ḳhushī ke kis tarah gaa.e vo bulbul-e-nazār
jis kā chaman ujaḌ gayā yaaro bharī bahār meñ
KHub thi wo ghaDi ki jab donon the ek hisar mein
main tha tere KHumar mein tu tha mere KHumar mein
nur se mere ishq ke nikhre the is ke KHadd-o-KHal
rang tha mere KHwab ka aks jamal-e-yar mein
go thi kashish hamare beach bare baham na ho sake
main tha alag madar mein wo tha alag madar mein
KHwahish-e-wasl-e-yar to puri na ho saki magar
dasht-e-hayat kaT gaya wahshat-e-intizar mein
marzi se kab hua koi ishq-e-butan mein mubtala
kaun ye rog palta hota jo iKHtiyar mein
naghme KHushi ke kis tarah gae wo bulbul-e-nazar
jis ka chaman ujaD gaya yaro bhari bahaar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.