KHub thin mai-kade ki fazaen
ḳhuub thiiñ mai-kade kī fazā.eñ
rah ga.iiñ chhaT ke ġham kī ghaTā.eñ
maut imdād ko aa chukī hai
un se kah do ki vo ab na aa.eñ
sho.ala-e-husn se kyā bachegā
dāman-e-dil ko ham kyā bachā.eñ
hashr Dhātī hai jumbish nazar kī
fitna-gar haiñ kisī kī adā.eñ
sochte haiñ ki us bevafā ko
yaad rakkheñ ki ham bhuul jaa.eñ
hādsāt-e-jahāñ tauba tauba
uTh ga.iiñ haiñ jahāñ se vafā.eñ
dil meñ ābād hai ek duniyā
aap mahrūmiyoñ par na jaa.eñ
gosha-e-dil se 'parvez' ab tak
aa rahī haiñ kisī kī sadā.eñ
KHub thin mai-kade ki fazaen
rah gain chhaT ke gham ki ghaTaen
maut imdad ko aa chuki hai
un se kah do ki wo ab na aaen
shoala-e-husn se kya bachega
daman-e-dil ko hum kya bachaen
hashr Dhati hai jumbish nazar ki
fitna-gar hain kisi ki adaen
sochte hain ki us bewafa ko
yaad rakkhen ki hum bhul jaen
hadsat-e-jahan tauba tauba
uTh gain hain jahan se wafaen
dil mein aabaad hai ek duniya
aap mahrumiyon par na jaen
gosha-e-dil se 'parwez' ab tak
aa rahi hain kisi ki sadaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.