KHuban-e-fusun-gar se hum uljha nahin karte
ḳhūbān-e-fusūñ-gar se ham uljhā nahīñ karte
jādū-garoñ kī zulf meñ laTkā nahīñ karte
Darte haiñ ki nāloñ se qayāmat na machā duuñ
is ḳhauf se vo vāda-e-fardā nahīñ karte
barbād haiñ lekin nahīñ yāroñ se mukaddar
go ḳhaak haiñ par dil kabhī mailā nahīñ karte
iqrār-e-shifā karte haiñ par rakhte haiñ bīmār
achchhā jo vo kahte haiñ kuchh achchhā nahīñ karte
sūraj haiñ kabhī chāñd kabhī sham.a kabhī phuul
kis roz na.e ruup vo badlā nahīñ karte
dil se huuñ 'munīr' apne maiñ ustād kā āshiq
tauqīr o ri.āyat mirī kyā kyā nahīñ karte
KHuban-e-fusun-gar se hum uljha nahin karte
jadu-garon ki zulf mein laTka nahin karte
Darte hain ki nalon se qayamat na macha dun
is KHauf se wo wada-e-farda nahin karte
barbaad hain lekin nahin yaron se mukaddar
go KHak hain par dil kabhi maila nahin karte
iqrar-e-shifa karte hain par rakhte hain bimar
achchha jo wo kahte hain kuchh achchha nahin karte
suraj hain kabhi chand kabhi shama kabhi phul
kis roz nae rup wo badla nahin karte
dil se hun 'munir' apne main ustad ka aashiq
tauqir o riayat meri kya kya nahin karte
- Book : Intekhab-e-Kalam Muneer Shikohabadi (Pg. 36)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.