KHubsurat chand jaisi dil-nashin ka ho gaya
ḳhūbsūrat chāñd jaisī dil-nashīñ kā ho gayā
dil na ab merā rahā ik nāznīñ kā ho gayā
tum ko ab haañ bolne kī kuchh zarūrat hī nahīñ
maiñ to pahle hī tumhārī is nahīñ kā ho gayā
ishq se milne gale aise baras baiThā ki bas
dekhte hī dekhte bādal zamīñ kā ho gayā
rābta merā ġhazal se ho gayā ik moḌ par
zindagī bhar ke liye phir us hasīñ kā ho gayā
mujh ko 'sāhir' le ke aa.e shā.erī kī bazm meñ
phir milā jab 'jaun' sāhib se yahīñ kā ho gayā
KHubsurat chand jaisi dil-nashin ka ho gaya
dil na ab mera raha ek naznin ka ho gaya
tum ko ab han bolne ki kuchh zarurat hi nahin
main to pahle hi tumhaari is nahin ka ho gaya
ishq se milne gale aise baras baiTha ki bas
dekhte hi dekhte baadal zamin ka ho gaya
rabta mera ghazal se ho gaya ek moD par
zindagi bhar ke liye phir us hasin ka ho gaya
mujh ko 'sahir' le ke aae shaeri ki bazm mein
phir mila jab 'jaun' sahib se yahin ka ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.