KHubsurat to na tha dilkash magar chehra laga
ḳhūbsūrat to na thā dilkash magar chehra lagā
maañ kī āñkhoñ meñ jo dekhā chāñd kā TukḌā lagā
pahle vo bad-rang sā ik kāñch kā TukḌā lagā
haath meñ tum ne liyā to aa.ina achchhā lagā
jis kā jī kartā hai aa jaatā hai vo hañstā huā
kis qadar āsān mere dil kā darvāza lagā
dūriyāñ saarī simaT kar aa ga.iiñ dālān tak
vo parī-ruḳh yak-ba-yak siine se mere aa lagā
shahr ke logoñ ke andar thī bahut apnā.iyat
go ki har chehra thā begāna magar apnā lagā
pyaar se Daalī nazar jab maañ ke chehre kī taraf
jhurriyoñ se pur vo chehra kis qadar pyārā lagā
mudda.ī ḳhush the sazā-e-maut par 'tāriq' magar
kyoñ mujhe munsif kā chehra itnā afsurda lagā
KHubsurat to na tha dilkash magar chehra laga
man ki aankhon mein jo dekha chand ka TukDa laga
pahle wo bad-rang sa ek kanch ka TukDa laga
hath mein tum ne liya to aaina achchha laga
jis ka ji karta hai aa jata hai wo hansta hua
kis qadar aasan mere dil ka darwaza laga
duriyan sari simaT kar aa gain dalan tak
wo pari-ruKH yak-ba-yak sine se mere aa laga
shahr ke logon ke andar thi bahut apnaiyat
go ki har chehra tha begana magar apna laga
pyar se Dali nazar jab man ke chehre ki taraf
jhurriyon se pur wo chehra kis qadar pyara laga
muddai KHush the saza-e-maut par 'tariq' magar
kyon mujhe munsif ka chehra itna afsurda laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.