KHugar-e-aish-o-masarrat dil-e-KHud-kaam nahin
KHugar-e-aish-o-masarrat dil-e-KHud-kaam nahin
Nawab Syed Hakeem Ahmad Naqwi badayuni
MORE BYNawab Syed Hakeem Ahmad Naqwi badayuni
ḳhūgar-e-aish-o-masarrat dil-e-ḳhud-kām nahīñ
hai ye ārām kī sūrat magar ārām nahīñ
maut laa.ī hai ye paiġhām ki is ghar se nikal
tū ne jo kaam kiye qābil-e-in.ām nahīñ
dā.imī ziist ho darkār to marnā sīkho
ye vo āġhāz hai jis kā koī anjām nahīñ
dekh kar hashr meñ nekī-o-badī kī fihrist
ishq hai sar-ba-garebāñ ki mirā naam nahīñ
log kahte haiñ ki vo pūchhte rahte haiñ magar
un kī jānib se to ab tak koī paiġhām nahīñ
kab ḳhudā jaane vo ḳhalvat se barāmad hoñge
mahfil-e-nāz abhī jalva-gah-e-ām nahīñ
is ko jis tarah banā.e koī ban jaatī hai
zindagī ḳhud sabab-e-rāhat-o-ālām nahīñ
KHugar-e-aish-o-masarrat dil-e-KHud-kaam nahin
hai ye aaram ki surat magar aaram nahin
maut lai hai ye paigham ki is ghar se nikal
tu ne jo kaam kiye qabil-e-inam nahin
daimi zist ho darkar to marna sikho
ye wo aaghaz hai jis ka koi anjam nahin
dekh kar hashr mein neki-o-badi ki fihrist
ishq hai sar-ba-gareban ki mera nam nahin
log kahte hain ki wo puchhte rahte hain magar
un ki jaanib se to ab tak koi paigham nahin
kab KHuda jaane wo KHalwat se baramad honge
mahfil-e-naz abhi jalwa-gah-e-am nahin
is ko jis tarah banae koi ban jati hai
zindagi KHud sabab-e-rahat-o-alam nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.