KHugar-e-hamd-o-sana qalib-e-insan mein aa
ḳhūgar-e-hamd-o-sanā qālib-e-insān meñ aa
muñh chhupā.egā tū kab tak merī pahchān meñ aa
paikar-e-husn kabhī bāzū-e-mīzān meñ aa
ai parī-vash tū kabhī mere gulistān meñ aa
rabb-e-sāmān kabhī mahfil-e-sāmān meñ aa
lā-makāñ-bāsh kabhī ālam-e-imkān meñ aa
abr-e-rahmat mire jalte hue aivān meñ aa
ai chaman-zār-e-sarāpā dil-e-vīrān meñ aa
tuur par dekhnā tujh ko to bahut mushkil hai
maslahat ye hai ki ab sūrat-e-āsān meñ aa
duur se shorish-e-tūfāñ kā maza letā hai
sang-e-sāhil tū kabhī shorish-e-tūfān meñ aa
yaar ke dil meñ utarnā to hai āsān 'rafīq'
baat to jab hai ki tū sīna-e-anjān meñ aa
KHugar-e-hamd-o-sana qalib-e-insan mein aa
munh chhupaega tu kab tak meri pahchan mein aa
paikar-e-husn kabhi bazu-e-mizan mein aa
ai pari-wash tu kabhi mere gulistan mein aa
rabb-e-saman kabhi mahfil-e-saman mein aa
la-makan-bash kabhi aalam-e-imkan mein aa
abr-e-rahmat mere jalte hue aiwan mein aa
ai chaman-zar-e-sarapa dil-e-viran mein aa
tur par dekhna tujh ko to bahut mushkil hai
maslahat ye hai ki ab surat-e-asan mein aa
dur se shorish-e-tufan ka maza leta hai
sang-e-sahil tu kabhi shorish-e-tufan mein aa
yar ke dil mein utarna to hai aasan 'rafiq'
baat to jab hai ki tu sina-e-anjaan mein aa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.