Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHugar-e-lazzat hun main kis shoKH ki tazir ka

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

KHugar-e-lazzat hun main kis shoKH ki tazir ka

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

MORE BYMunshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

    ḳhūgar-e-lazzat huuñ maiñ kis shoḳh ta.azīr

    dil ko hasrat hai ki pahlū DhūñDiye taqsīr

    thā mirā hañgāma-e-vahshat azal se peshtar

    arsh zanjīr TukḌā hai mirī zanjīr

    mar gayā zindāñ meñ jab maiñ vahshī-e-ātish-nafas

    bujh gayā sho.ala charāġh-e-ḳhāna-e-zanjīr

    saḳht-jānī se dil-e-muztar jo taḌpā vaqt-e-qatl

    ban gayā sañg-e-fasāñ qātil tirī shamshīr

    ho ke bismil ārzū-e-guftagū qātil se hai

    har dahān-e-zaḳhm naqsha hai lab-e-taqrīr

    itnī hai mashq-e-tasavvur intizār-e-qatl meñ

    mardumak hai aañkh meñ jauhar tirī shamshīr

    jaan kar ThanDī havā vo chain se sote to haiñ

    dam bharūñ kyūñ-kar na āh-e-sard-e-be-tāsīr

    hotā hai insān paidā vāste fariyād ke

    ye ishāra hai sarīr-e-ḳhāma-e-tahrīr

    ruuh aa jaatī hai tan meñ teġh-e-uryāñ dekh kar

    murġh-e-jāñ bulbul hai bāġh-e-jauhar-e-shamshīr

    aaj tak āvāz aatī hai dahān-e-gor se

    hai ye madfan kushta-e-teġh-e-lab-e-taqrīr

    aur duunā ġham uThāyā miTāne jo fikr

    dāġh-e-hasrat ho gayā likkhā mirī taqdīr

    rafta rafta yuuñ ghulāyā qaid meñ ġham ne 'nazar'

    tauq-e-gardan paañv meñ halqa banā zanjīr

    KHugar-e-lazzat hun main kis shoKH ki tazir ka

    dil ko hasrat hai ki pahlu DhunDiye taqsir ka

    tha mera hangama-e-wahshat azal se peshtar

    arsh ki zanjir TukDa hai meri zanjir ka

    mar gaya zindan mein jab main wahshi-e-atish-nafas

    bujh gaya shoala charagh-e-KHana-e-zanjir ka

    saKHt-jaani se dil-e-muztar jo taDpa waqt-e-qatl

    ban gaya sang-e-fasan qatil teri shamshir ka

    ho ke bismil aarzu-e-guftagu qatil se hai

    har dahan-e-zaKHm naqsha hai lab-e-taqrir ka

    itni hai mashq-e-tasawwur intizar-e-qatl mein

    mardumak hai aankh mein jauhar teri shamshir ka

    jaan kar ThanDi hawa wo chain se sote to hain

    dam bharun kyun-kar na aah-e-sard-e-be-tasir ka

    hota hai insan paida waste fariyaad ke

    ye ishaara hai sarir-e-KHama-e-tahrir ka

    ruh aa jati hai tan mein tegh-e-uryan dekh kar

    murgh-e-jaan bulbul hai bagh-e-jauhar-e-shamshir ka

    aaj tak aawaz aati hai dahan-e-gor se

    hai ye madfan kushta-e-tegh-e-lab-e-taqrir ka

    aur duna gham uThaya ki miTane ki jo fikr

    dagh-e-hasrat ho gaya likkha meri taqdir ka

    rafta rafta yun ghulaya qaid mein gham ne 'nazar'

    tauq-e-gardan panw mein halqa bana zanjir ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now