KHun aankhon se nikalta hi raha
ḳhuun āñkhoñ se nikaltā hī rahā
kārvān-e-ashk chaltā hī rahā
is kaf-e-pā par tire rañg-e-hinā
jin ne dekhā haath maltā hī rahā
sub.h hote bujh ga.e saare charāġh
dāġh-e-dil tā shaam jaltā hī rahā
kab huā bekār putlā ḳhaak kā
ye to sau qālib meñ Dhaltā hī rahā
beh hue kab daaġh mere jism ke
ye shajar har vaqt phaltā hī rahā
kab thamā āñkhoñ se merī ḳhūn-e-dil
josh khā khā kar ubaltā hī rahā
kyā huā marham lagāne se 'fuġhāñ'
zaḳhm-e-dil siine meñ saltā hī rahā
KHun aankhon se nikalta hi raha
karwan-e-ashk chalta hi raha
is kaf-e-pa par tere rang-e-hina
jin ne dekha hath malta hi raha
subh hote bujh gae sare charagh
dagh-e-dil ta sham jalta hi raha
kab hua bekar putla KHak ka
ye to sau qalib mein Dhalta hi raha
beh hue kab dagh mere jism ke
ye shajar har waqt phalta hi raha
kab thama aankhon se meri KHun-e-dil
josh kha kha kar ubalta hi raha
kya hua marham lagane se 'fughan'
zaKHm-e-dil sine mein salta hi raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.