KHun agar honge to kaam aaenge paimanon ke
KHun agar honge to kaam aaenge paimanon ke
Habibur Rahman Siddiqui
MORE BYHabibur Rahman Siddiqui
ḳhuuñ agar hoñge to kaam ā.eñge paimānoñ ke
hausle kuchh to nikal jā.eñge armānoñ ke
ek ham haiñ ki ba-juz aap ke sab haiñ apne
ek haiñ aap na apnoñ ke na begānoñ ke
shauq-e-mai thā to kahīñ se hameñ māñge na milī
tauba kar lī hai to dar baaz haiñ mai-ḳhānoñ ke
jam.a phir karte haiñ ajzā-e-pareshāñ dil ke
TukḌe le aate haiñ TuuTe hue paimānoñ ke
chaar tinke the nasheman ke so vo jal bhī chuke
barq kyoñ fikr meñ hai soḳhta-sāmānoñ ke
KHun agar honge to kaam aaenge paimanon ke
hausle kuchh to nikal jaenge armanon ke
ek hum hain ki ba-juz aap ke sab hain apne
ek hain aap na apnon ke na beganon ke
shauq-e-mai tha to kahin se hamein mange na mili
tauba kar li hai to dar baz hain mai-KHanon ke
jama phir karte hain ajza-e-pareshan dil ke
TukDe le aate hain TuTe hue paimanon ke
chaar tinke the nasheman ke so wo jal bhi chuke
barq kyon fikr mein hai soKHta-samanon ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.