KHun-bar chashm kyon na ho unwan-e-arzu
ḳhūñ-bār chashm kyoñ na ho unvān-e-ārzū
sarf-e-junūn-e-shauq hai sāmān-e-ārzū
phir dil kī hasratoñ meñ hai ummīd kī numūd
phir ho chalī hai yaas pashemān-e-ārzū
terī nigāh-e-shauq hai yā barq-e-iztirāb
terī adā-e-husn hai yā jān-e-ārzū
dil meñ vahī ḳhalish hai vahī zauq-e-jāñ-gudāz
phir chāhtā huuñ lazzat-e-paikān-e-ārzū
ye kār-nāma-e-ġham-e-ulfat jigar-ḳharāsh
likhtā hai dil ke ḳhuun se unvān-e-ārzū
pur-josh valvaloñ kā talātum hai maujzan
is muḳhtasar se dil meñ ye tūfān-e-ārzū
miTnā kisī ke ġham meñ dalīl-e-hayāt hai
kitnā hai dil-fareb ye unvān-e-ārzū
'sāqib' kisī kī yaad se rag rag meñ hai ḳhalish
pinhāñ haiñ dil meñ ḳhār-e-bayābān-e-ārzū
KHun-bar chashm kyon na ho unwan-e-arzu
sarf-e-junun-e-shauq hai saman-e-arzu
phir dil ki hasraton mein hai ummid ki numud
phir ho chali hai yas pasheman-e-arzu
teri nigah-e-shauq hai ya barq-e-iztirab
teri ada-e-husn hai ya jaan-e-arzu
dil mein wahi KHalish hai wahi zauq-e-jaan-gudaz
phir chahta hun lazzat-e-paikan-e-arzu
ye kar-nama-e-gham-e-ulfat jigar-KHarash
likhta hai dil ke KHun se unwan-e-arzu
pur-josh walwalon ka talatum hai maujzan
is muKHtasar se dil mein ye tufan-e-arzu
miTna kisi ke gham mein dalil-e-hayat hai
kitna hai dil-fareb ye unwan-e-arzu
'saqib' kisi ki yaad se rag rag mein hai KHalish
pinhan hain dil mein KHar-e-bayaban-e-arzu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.