KHun ban kar munasib nahin dil bahe
ḳhuun ban kar munāsib nahīñ dil bahe
dil nahīñ māntā kaun dil se kahe
terī duniyā meñ aa.e bahut din rahe
sukh ye paayā ki ham ne bahut dukh sahe
bulbuleñ gul ke aañsū nahīñ chāTtīñ
un ko apne hī marġhūb haiñ chahchahe
ālam-e-nazā meñ sun rahā huuñ meñ kyā
ye azīzoñ kī chīḳheñ haiñ yā qahqahe
is na.e husn kī bhī adāoñ pe ham
mar miTeñge ba-shart-e-ki zinda rahe
tum 'hafīz' ab ghisaTne kī manzil meñ ho
daur-e-ayyām pahiya hai ġham haiñ pahe
KHun ban kar munasib nahin dil bahe
dil nahin manta kaun dil se kahe
teri duniya mein aae bahut din rahe
sukh ye paya ki hum ne bahut dukh sahe
bulbulen gul ke aansu nahin chaTtin
un ko apne hi marghub hain chahchahe
aalam-e-naza mein sun raha hun mein kya
ye azizon ki chiKHen hain ya qahqahe
is nae husn ki bhi adaon pe hum
mar miTenge ba-shart-e-ki zinda rahe
tum 'hafiz' ab ghisaTne ki manzil mein ho
daur-e-ayyam pahiya hai gham hain pahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.