KHun-chakan qalb-o-jigar chaak-gareban nikla
ḳhūñ-chakāñ qalb-o-jigar chāk-garebāñ niklā
jo tirī bazm se niklā so pareshāñ niklā
terī ik ek nazar ne kiyā sab ko ghāyal
jis ko dekhā vahī minnat-kash-e-paikāñ niklā
ġhunche bedār hue jaag uThe lāla-o-gul
bahr-e-gul-gasht jo vo rashk-e-gulistāñ niklā
jis kī guftār se thā sab ko farishte kā gumāñ
apne kirdār meñ vo sānī-e-shaitāñ niklā
ham shab-e-tār meñ bhī tere makāñ tak pahuñche
apnā har dāġh-e-jigar sham-e-farozāñ niklā
shukr hai ashk-e-nadāmat mire kaam aa hī ga.e
marhala hashr kā mere liye āsāñ niklā
baḌh ke dāman ko mire ḳhār-e-muġhīlāñ ne liyā
maiñ jo 'āzād' kabhī sū-e-bayābāñ niklā
KHun-chakan qalb-o-jigar chaak-gareban nikla
jo teri bazm se nikla so pareshan nikla
teri ek ek nazar ne kiya sab ko ghayal
jis ko dekha wahi minnat-kash-e-paikan nikla
ghunche bedar hue jag uThe lala-o-gul
bahr-e-gul-gasht jo wo rashk-e-gulistan nikla
jis ki guftar se tha sab ko farishte ka guman
apne kirdar mein wo sani-e-shaitan nikla
hum shab-e-tar mein bhi tere makan tak pahunche
apna har dagh-e-jigar sham-e-farozan nikla
shukr hai ashk-e-nadamat mere kaam aa hi gae
marhala hashr ka mere liye aasan nikla
baDh ke daman ko mere KHar-e-mughilan ne liya
main jo 'azad' kabhi su-e-bayaban nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.