KHun-e-dil hota raha KHun-e-jigar hota raha
KHun-e-dil hota raha KHun-e-jigar hota raha
Shiv Ratan Lal Barq Punchhwi
MORE BYShiv Ratan Lal Barq Punchhwi
ḳhūn-e-dil hotā rahā ḳhūn-e-jigar hotā rahā
ye tamāshā 'ishq meñ shām-o-sahar hotā rahā
is jahān-e-āb-o-gil meñ yuuñ basar hotī rahī
muskurāte bhī rahe dāman bhī tar hotā rahā
ārzūoñ ko taḌap kar niiñd sī aatī ga.ī
qissa-e-bīmār-e-ġham yuuñ muḳhtasar hotā rahā
in kī bātoñ par yaqīñ ham 'umr bhar karte rahe
intizār-e-shām-e-va.ada 'umr bhar hotā rahā
talḳhī-e-ġham se na pal bhar ke liye fursat milī
'umr bhar go chāra-e-dard-e-jigar hotā rahā
KHun-e-dil hota raha KHun-e-jigar hota raha
ye tamasha 'ishq mein sham-o-sahar hota raha
is jahan-e-ab-o-gil mein yun basar hoti rahi
muskuraate bhi rahe daman bhi tar hota raha
aarzuon ko taDap kar nind si aati gai
qissa-e-bimar-e-gham yun muKHtasar hota raha
in ki baaton par yaqin hum 'umr bhar karte rahe
intizar-e-sham-e-wada 'umr bhar hota raha
talKHi-e-gham se na pal bhar ke liye fursat mili
'umr bhar go chaara-e-dard-e-jigar hota raha
- Book : Barq-o-Sharar (Pg. 95)
- Author : Dr. Barq Poonchvi
- Publication : Swaraj Publication (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.