KHun-e-dil ki qadr kar ai zindagi
ḳhūn-e-dil kī qadr kar ai zindagī
aaj bādal aur gahre ho ga.e
hasratoñ kī os ummīdoñ kī dhuup
khet apne sab sunahre ho ga.e
ġham bichhaḌne kā na milne kī ḳhushī
kaise ham itne ikahre ho ga.e
ghan garaj kyā TuuT ke gir āsmāñ
sunte sunte kaan bahre ho ga.e
luT rahī hai daulat-e-ḳhūn-e-jigar
chashm-o-gosh-o-lab pe pahre ho ga.e
KHun-e-dil ki qadr kar ai zindagi
aaj baadal aur gahre ho gae
hasraton ki os ummidon ki dhup
khet apne sab sunahre ho gae
gham bichhaDne ka na milne ki KHushi
kaise hum itne ikahre ho gae
ghan garaj kya TuT ke gir aasman
sunte sunte kan bahre ho gae
luT rahi hai daulat-e-KHun-e-jigar
chashm-o-gosh-o-lab pe pahre ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.