KHun-e-nahaq ka samundar nahin dekha jata
ḳhūn-e-nāhaq kā samundar nahīñ dekhā jaatā
ab tabāhī kā ye manzar nahīñ dekhā jaatā
jab se hai qaid hisāroñ meñ takabbur ke anā
ḳhud se ūñchā koī paikar nahīñ dekhā jaatā
jaane kab kaun hameñ desh nikālā de de
sar pe laTkā huā ḳhanjar nahīñ dekhā jaatā
jo zarīya thā shikam-serī-e-insāñ kā sadā
peT par bāñdhe hai patthar nahīñ dekhā jaatā
aaj insāñ hai shikanje meñ hasad ke aise
TūTne par haiñ ka.ī ghar nahīñ dekhā jaatā
terī āzurda sī muskān se bekal hai 'shifā'
ek tūfāñ tire andar nahīñ dekhā jaatā
KHun-e-nahaq ka samundar nahin dekha jata
ab tabahi ka ye manzar nahin dekha jata
jab se hai qaid hisaron mein takabbur ke ana
KHud se uncha koi paikar nahin dekha jata
jaane kab kaun hamein desh nikala de de
sar pe laTka hua KHanjar nahin dekha jata
jo zariya tha shikam-seri-e-insan ka sada
peT par bandhe hai patthar nahin dekha jata
aaj insan hai shikanje mein hasad ke aise
TuTne par hain kai ghar nahin dekha jata
teri aazurda si muskan se bekal hai 'shifa'
ek tufan tere andar nahin dekha jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.