KHun ke ashk pi raha hun main
ḳhuun ke ashk pī rahā huuñ maiñ
tere va.ade pe jī rahā huuñ maiñ
mujh pe ilzām-e-mai-kashī kaisā
terī āñkhoñ se pī rahā huuñ maiñ
apne hāthoñ se dafn kar denā
terā ham-dam kabhī rahā huuñ maiñ
tujh ko rusvā karūñ mirī tauba
apne hoñToñ ko sī rahā huuñ maiñ
duur jā kar tumhāre saa.e se
ab kahīñ kā nahīñ rahā huuñ maiñ
mujh pe ilzām-e-bevafā.ī kyoñ
dekh 'nirdosh' hī rahā huuñ maiñ
KHun ke ashk pi raha hun main
tere wade pe ji raha hun main
mujh pe ilzam-e-mai-kashi kaisa
teri aankhon se pi raha hun main
apne hathon se dafn kar dena
tera ham-dam kabhi raha hun main
tujh ko ruswa karun meri tauba
apne honTon ko si raha hun main
dur ja kar tumhaare sae se
ab kahin ka nahin raha hun main
mujh pe ilzam-e-bewafai kyon
dekh 'nirdosh' hi raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.