KHun ke pyase hain wahan abru-e-KHamdar juda
ḳhuuñ ke pyāse haiñ vahāñ abrū-e-ḳhamdār judā
tez kartī hai chhurī yaañ mizha-e-yār judā
ai sanam bahr-e-ḳhudā tū na ho zinhār judā
maut hī hai jo masīhā se ho bīmār judā
ruḳh-e-raushan se hoñ kyā abrū-e-ḳhamdār judā
sub.h-e-mahshar se na hogī ye shab-e-tār judā
tū kahe to abhī sar kaaT ke rakh dete haiñ
ham kisī haal meñ tujh se nahīñ ai yaar judā
bāġh-e-ālam meñ kise ishq un āñkhoñ kā nahīñ
maiñ huuñ bīmār judā nargis-e-bīmār judā
is se kuchh ḳhauf nahīñ is se hai andesha-e-marg
ranjish-e-ḳhalq judā ranjish-e-dildār judā
ḳhaak bhī is se na ho is se ho mahshar barpā
kabk kī chaal judā yaar kī raftār judā
abhī ho jaa.e zamīñ ham-sar-e-charḳh-e-anjum
kafsh se tere sitāre hoñ jo do-chār judā
ek din vasl hī ho jā.egā āshiq kā tire
mujh se hotā hai jo ai yaar tū har baar judā
ek gul bāġh-e-jahāñ meñ nahīñ tujh sā ba-ḳhudā
sab hasīnoñ se ravish hai tirī ai yaar judā
kaun sī shakl hai ab ziist kī merī 'akbar'
sadma-e-hijr judā ta.ana-e-aġhyār judā
KHun ke pyase hain wahan abru-e-KHamdar juda
tez karti hai chhuri yan mizha-e-yar juda
ai sanam bahr-e-KHuda tu na ho zinhaar juda
maut hi hai jo masiha se ho bimar juda
ruKH-e-raushan se hon kya abru-e-KHamdar juda
subh-e-mahshar se na hogi ye shab-e-tar juda
tu kahe to abhi sar kaT ke rakh dete hain
hum kisi haal mein tujh se nahin ai yar juda
bagh-e-alam mein kise ishq un aankhon ka nahin
main hun bimar juda nargis-e-bimar juda
is se kuchh KHauf nahin is se hai andesha-e-marg
ranjish-e-KHalq juda ranjish-e-dildar juda
KHak bhi is se na ho is se ho mahshar barpa
kabk ki chaal juda yar ki raftar juda
abhi ho jae zamin ham-sar-e-charKH-e-anjum
kafsh se tere sitare hon jo do-chaar juda
ek din wasl hi ho jaega aashiq ka tere
mujh se hota hai jo ai yar tu har bar juda
ek gul bagh-e-jahan mein nahin tujh sa ba-KHuda
sab hasinon se rawish hai teri ai yar juda
kaun si shakl hai ab zist ki meri 'akbar'
sadma-e-hijr juda tana-e-aghyar juda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.