KHun mein Dube suraj ki kirnon mein yahi sangit hai yaro
ḳhuun meñ Duube sūraj kī kirnoñ meñ yahī sañgīt hai yaaro
sab kuchh denā kuchh bhī na lenā fitrat kī ye riit hai yaaro
khel na jaane kitne ham ne bante aur bigaḌte dekhe
haar ke baazī kyā rote ho duniyā kī ye riit hai yaaro
titlī kī phūloñ par thirkan aur magas kī mehnat-e-paiham
ye mehnat aur thirkan mil kar jīvan kā sañgīt hai yaaro
ham shā.ir haiñ ḳhud ko miTā kar auroñ kā dil bahlāte haiñ
siine meñ nāsūr hai lekin hoñToñ par sañgīt hai yaaro
qadam qadam par is duniyā ne kaise kaise dard diye haiñ
phir bhī is zālim duniyā se dil ko kitnī priit hai yaaro
is duniyā ke sannāTe meñ is ābād se vīrāne meñ
sachchā.ī aur sundartā hī ek suhānā giit hai yaaro
ḳhvāb hamesha TuuT ga.e haiñ talḳh haqā.eq se Takrā kar
lekin in TuuTe ḳhvāboñ se dil ko kitnī priit hai yaaro
KHun mein Dube suraj ki kirnon mein yahi sangit hai yaro
sab kuchh dena kuchh bhi na lena fitrat ki ye rit hai yaro
khel na jaane kitne hum ne bante aur bigaDte dekhe
haar ke bazi kya rote ho duniya ki ye rit hai yaro
titli ki phulon par thirkan aur magas ki mehnat-e-paiham
ye mehnat aur thirkan mil kar jiwan ka sangit hai yaro
hum shair hain KHud ko miTa kar auron ka dil bahlate hain
sine mein nasur hai lekin honTon par sangit hai yaro
qadam qadam par is duniya ne kaise kaise dard diye hain
phir bhi is zalim duniya se dil ko kitni prit hai yaro
is duniya ke sannaTe mein is aabaad se virane mein
sachchai aur sundarta hi ek suhana git hai yaro
KHwab hamesha TuT gae hain talKH haqaeq se Takra kar
lekin in TuTe KHwabon se dil ko kitni prit hai yaro
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.