Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHun roti hui aqwam ka dukh

Hira Qasmi

KHun roti hui aqwam ka dukh

Hira Qasmi

MORE BYHira Qasmi

    ḳhuun rotī huī aqvām dukh

    khā na jaa.e kahīñ hangām dukh

    chand lafzoñ meñ kahāñ aa.egā

    vaqt-e-rafta tire ayyām dukh

    ham ne furqat siyāh rātoñ meñ

    oḌh rakhā thā tire naam dukh

    tum ne ban-bās kahāñ kaaTā hai

    tum na samjhoge kabhī raam dukh

    tum jo ho shahr-e-tarab ke baasī

    tum batāoge hameñ shaam dukh

    is meñ ġharqāb hue to yāroñ

    ham ne jaanā hai bahut kaam dukh

    KHun roti hui aqwam ka dukh

    kha na jae kahin hangam ka dukh

    chand lafzon mein kahan aaega

    waqt-e-rafta tere ayyam ka dukh

    hum ne furqat ki siyah raaton mein

    oDh rakha tha tere nam ka dukh

    tum ne ban-bas kahan kaTa hai

    tum na samjhoge kabhi ram ka dukh

    tum jo ho shahr-e-tarab ke basi

    tum bataoge hamein sham ka dukh

    is mein gharqab hue to yaron

    hum ne jaana hai bahut kaam ka dukh

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now