KHun se gundha miTTi ko aur aadam ko tamir kiya
ḳhuun se gūñdhā miTTī ko aur aadam ko ta.amīr kiyā
uupar vaale ne bhī apne ḳhvāboñ ko ta.abīr kiyā
tanhā.ī ke saaz pe chheḌe saare dard sadāoñ ke
vahshat ke āñchal se lipTe aur use zanjīr kiyā
jis lahje ko bhī jhuThlāyā haath meñ us ke ḳhaak lagī
jis abrū tak haath baḌhāyā ham ne us ko tiir kiyā
upar jaane vaale raste pastī ke mohtāj kiye
ham jis ke qadmoñ meñ baiThe us ko hī jāgīr kiyā
merā chehra dekhne vaalo paḌhnā bhī to sīkho nā
kitne mushkil mausam kaaTe aur un ko tafsīr kiyā
apnā ronā rone vaale tū kis khet kī muulī hai
ishq ne tujh se pahle jaane kitnoñ ko rāhgīr kiyā
KHun se gundha miTTi ko aur aadam ko tamir kiya
upar wale ne bhi apne KHwabon ko tabir kiya
tanhai ke saz pe chheDe sare dard sadaon ke
wahshat ke aanchal se lipTe aur use zanjir kiya
jis lahje ko bhi jhuThlaya hath mein us ke KHak lagi
jis abru tak hath baDhaya hum ne us ko tir kiya
upar jaane wale raste pasti ke mohtaj kiye
hum jis ke qadmon mein baiThe us ko hi jagir kiya
mera chehra dekhne walo paDhna bhi to sikho na
kitne mushkil mausam kaTe aur un ko tafsir kiya
apna rona rone wale tu kis khet ki muli hai
ishq ne tujh se pahle jaane kitnon ko rahgir kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.