KHun se likhta hai tawiz-e-ajal kaghaz par
ḳhuun se likhtā hai ta.avīz-e-ajal kāġhaz par
vaqt kartā hai ajab siflī amal kāġhaz par
ranj miTne kā nahīñ phir bhī tasallī ke liye
misrā-e-dard kī tartīb badal kāġhaz par
ye taḳhayyul hai ki umDā huā dariyā koī
mauja-e-āb-e-ravāñ hai ki ġhazal kāġhaz par
kitne jazbe tirī be-rāh-ravī ne kuchle
harf-e-āvāra zarā dekh ke chal kāġhaz par
khetiyāñ kyā kyā ugātā huuñ sar-e-dasht-e-ḳhayāl
lahlahātā hai koī phuul na phal kāġhaz par
lafz jab aa ke chamaktā hai sar-e-nok-e-qalam
raushnī detā hai mahtāb-e-azal kāġhaz par
jab kabhī chāhā likhūñ jhiil tirī āñkhoñ ko
tairne lagte haiñ ḳhushbū ke kañval kāġhaz par
ek tasvīr banā kar maiñ tire hoñToñ kī
sabt kar dūñgā kisī yaad ke pal kāġhaz par
titliyāñ aane lagīñ pursa-e-ġham kī ḳhātir
tujh se ye kis ne kahā phuul masal kāġhaz par
raushnā.ī ko hama-gīr ujāle meñ badal
apnī fitrat kī siyāhī tū na mal kāġhaz par
aur kuchh der meñ ye rang nikālegī ka.ī
ye jo bikhrī sī hai nau-ḳhez ġhazal kāġhaz par
KHun se likhta hai tawiz-e-ajal kaghaz par
waqt karta hai ajab sifli amal kaghaz par
ranj miTne ka nahin phir bhi tasalli ke liye
misra-e-dard ki tartib badal kaghaz par
ye taKHayyul hai ki umDa hua dariya koi
mauja-e-ab-e-rawan hai ki ghazal kaghaz par
kitne jazbe teri be-rah-rawi ne kuchle
harf-e-awara zara dekh ke chal kaghaz par
khetiyan kya kya ugata hun sar-e-dasht-e-KHayal
lahlahata hai koi phul na phal kaghaz par
lafz jab aa ke chamakta hai sar-e-nok-e-qalam
raushni deta hai mahtab-e-azal kaghaz par
jab kabhi chaha likhun jhil teri aankhon ko
tairne lagte hain KHushbu ke kanwal kaghaz par
ek taswir bana kar main tere honTon ki
sabt kar dunga kisi yaad ke pal kaghaz par
titliyan aane lagin pursa-e-gham ki KHatir
tujh se ye kis ne kaha phul masal kaghaz par
raushnai ko hama-gir ujale mein badal
apni fitrat ki siyahi tu na mal kaghaz par
aur kuchh der mein ye rang nikalegi kai
ye jo bikhri si hai nau-KHez ghazal kaghaz par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.