KHun utar aaya dil ke chhaalon mein
ḳhuun utar aayā dil ke chhāloñ meñ
ban rahe the mahal ḳhayāloñ meñ
jāgte jāgte chaḌhā sūraj
aañkh dukhne lagī ujāloñ meñ
panchhiyoñ hijratoñ kī rut aa.ī
barf jamne lagī hai bāloñ meñ
bhuuk ne khīñch dī haiñ dīvāreñ
ham-nivāloñ meñ ham-piyāloñ meñ
marsiya is sadī kā likhnā hai
aur do tiin chaar sāloñ meñ
bajne vaalī hai āḳhirī ghanTī
ham haiñ uljhe hue savāloñ meñ
pāniyoñ kī siyāsateñ 'aslam'
machhliyāñ mutma.in haiñ jāloñ meñ
KHun utar aaya dil ke chhaalon mein
ban rahe the mahal KHayalon mein
jagte jagte chaDha suraj
aankh dukhne lagi ujalon mein
panchhiyon hijraton ki rut aai
barf jamne lagi hai baalon mein
bhuk ne khinch di hain diwaren
ham-niwalon mein ham-piyalon mein
marsiya is sadi ka likhna hai
aur do tin chaar salon mein
bajne wali hai aaKHiri ghanTi
hum hain uljhe hue sawalon mein
paniyon ki siyasaten 'aslam'
machhliyan mutmain hain jalon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.