KHun wirasat ka ragon mein faKHr ke qabil hua
ḳhuuñ virāsat kā ragoñ meñ faḳhr ke qābil huā
jab mire hī ḳhāk-dāñ se merā sar hāsil huā
har jazīra barf kā merī anā kī mumlikat
raah meñ phir koh-e-nā-mālūm kyuuñ haa.il huā
ret ke dariyā se qaa.em thī ummīd mo.ajiza
tishnagī meñ jo qadam aage baḌhā hāsil huā
saaya paanī meñ chalā jab mujh ko tanhā chhoḌ kar
merā manzar hī mire ehsās kā qātil huā
phir havā kī muTThiyoñ se ret barsī sahn meñ
phir bikharne kā nazar ko zā.iqa hāsil huā
tum anā ke zo.am meñ inkār-e-fan karte to ho
aur agar is ahd kā maiñ hī had-e-fāsil huā
KHun wirasat ka ragon mein faKHr ke qabil hua
jab mere hi KHak-dan se mera sar hasil hua
har jazira barf ka meri ana ki mumlikat
rah mein phir koh-e-na-malum kyun hail hua
ret ke dariya se qaem thi ummid moajiza
tishnagi mein jo qadam aage baDha hasil hua
saya pani mein chala jab mujh ko tanha chhoD kar
mera manzar hi mere ehsas ka qatil hua
phir hawa ki muTThiyon se ret barsi sahn mein
phir bikharne ka nazar ko zaiqa hasil hua
tum ana ke zoam mein inkar-e-fan karte to ho
aur agar is ahd ka main hi had-e-fasil hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.