khunTiyon par KHamushi laTkai hai
khūñTiyoñ par ḳhāmushī laTkā.ī hai
alganī par sūkhtī tanhā.ī hai
chāñd kī ujlī Dalī bargad tale
hijr kī sat āsmāñ le aa.ī hai
dard kī ik chipchipātī goñd meñ
DevḌhiyoñ tak chup kī chhuTTī aa.ī hai
ūñche lambe in sutūnoñ ke tale
Doltī ThanDī havā saudā.ī hai
niiñd ke ḳhvābī papoToñ ke tale
phāñs sī chubhtī huī purvā.ī hai
bistaraoñ kī chādareñ haiñ be-shikan
haañ sirhāne par khaḌī zebā.ī hai
khunTiyon par KHamushi laTkai hai
algani par sukhti tanhai hai
chand ki ujli Dali bargad tale
hijr ki sat aasman le aai hai
dard ki ek chipchipati gond mein
DewDhiyon tak chup ki chhuTTi aai hai
unche lambe in sutunon ke tale
Dolti ThanDi hawa saudai hai
nind ke KHwabi papoTon ke tale
phans si chubhti hui purwai hai
bistaraon ki chadaren hain be-shikan
han sirhane par khaDi zebai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.