KHwab aankhon ke ye be-jaan kahan hote hain
ḳhvāb āñkhoñ ke ye be-jān kahāñ hote haiñ
rāste sabr ke āsān kahāñ hote haiñ
jo ga.e aap to tanhā.ī yahāñ rahne lagī
ki nagar dil ke ye vīrān kahāñ hote haiñ
koī mar jaa.e sisaktā rahe dam bhartā rahe
hañsne vaale ye pareshān kahāñ hote haiñ
dard to shor machātā hai akele man meñ
dil ke dālān bhī sunsān kahāñ hote haiñ
koī qātil bhī agar taḳht pe qabza kar le
log kam-zarf ye hairān kahāñ hote haiñ
nā-ḳhudāoñ ne sañbhālī hai ye duniyā jab se
DhūñDhtī phirtī huuñ bhagvān kahāñ hote haiñ
chaltī phirtī huī be-jān mashīneñ haiñ ye sab
vo jo insān the insān kahāñ hote haiñ
ye ba-juz dostoñ ke aur atā kis kī hai
nā-tavāñ varna ye paimān kahāñ hote haiñ
ġham kī shiddat mujhe rone nahīñ detī kyūñki
ranj-o-ġham dard ke ehsān kahāñ hote haiñ
dil ko samjhā liyā kahte hue 'fahmī' itnā
puure ho jaa.eñ vo armān kahāñ hote haiñ
KHwab aankhon ke ye be-jaan kahan hote hain
raste sabr ke aasan kahan hote hain
jo gae aap to tanhai yahan rahne lagi
ki nagar dil ke ye viran kahan hote hain
koi mar jae sisakta rahe dam bharta rahe
hansne wale ye pareshan kahan hote hain
dard to shor machata hai akele man mein
dil ke dalan bhi sunsan kahan hote hain
koi qatil bhi agar taKHt pe qabza kar le
log kam-zarf ye hairan kahan hote hain
na-KHudaon ne sanbhaali hai ye duniya jab se
DhunDhti phirti hun bhagwan kahan hote hain
chalti phirti hui be-jaan mashinen hain ye sab
wo jo insan the insan kahan hote hain
ye ba-juz doston ke aur ata kis ki hai
na-tawan warna ye paiman kahan hote hain
gham ki shiddat mujhe rone nahin deti kyunki
ranj-o-gham dard ke ehsan kahan hote hain
dil ko samjha liya kahte hue 'fahmi' itna
pure ho jaen wo arman kahan hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.