KHwab aankhon mein jazb hone mein
ḳhvāb āñkhoñ meñ jazb hone meñ
ham ko muddat lagī hai sone meñ
us ne aanā nahīñ chunā varna
vaqt lagtā hai vaqt hone meñ
kyā milā thā kisī ko paane se
kyā gayā hai kisī ko khone meñ
dil meñ duniyā basā.ī hai ham ne
dil kī duniyā rakhī hai kone meñ
bhuul baiThī haiñ dekhne kī adā
āñkheñ sapne tere sañjone meñ
farq sach aur jhuuT kā hai faqat
sher likhne meñ sher hone meñ
kitne dariyā bahā chukīñ āñkheñ
ek chehre ke rang dhone meñ
KHwab aankhon mein jazb hone mein
hum ko muddat lagi hai sone mein
us ne aana nahin chuna warna
waqt lagta hai waqt hone mein
kya mila tha kisi ko pane se
kya gaya hai kisi ko khone mein
dil mein duniya basai hai hum ne
dil ki duniya rakhi hai kone mein
bhul baiThi hain dekhne ki ada
aankhen sapne tere sanjone mein
farq sach aur jhuT ka hai faqat
sher likhne mein sher hone mein
kitne dariya baha chukin aankhen
ek chehre ke rang dhone mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.