KHwab aankhon mein nihan hai ab bhi
ḳhvāb āñkhoñ meñ nihāñ hai ab bhī
bujh ga.ī aag dhuāñ hai ab bhī
vo mire paas nahīñ hai lekin
us ke hone kā gumāñ hai ab bhī
kyā bahādur koī aayā hī nahīñ
raah meñ sañg-e-girāñ hai ab bhī
koī pyāsā hī nahīñ hai varna
chashma-e-shauq ravāñ hai ab bhī
ghar ko kāñdhe pe liye phirtā huuñ
mujh meñ ye tāb-o-tavāñ hai ab bhī
maiñ ta.alluq se pare huuñ lekin
mujh se vābasta jahāñ hai ab bhī
KHwab aankhon mein nihan hai ab bhi
bujh gai aag dhuan hai ab bhi
wo mere pas nahin hai lekin
us ke hone ka guman hai ab bhi
kya bahadur koi aaya hi nahin
rah mein sang-e-giran hai ab bhi
koi pyasa hi nahin hai warna
chashma-e-shauq rawan hai ab bhi
ghar ko kandhe pe liye phirta hun
mujh mein ye tab-o-tawan hai ab bhi
main talluq se pare hun lekin
mujh se wabasta jahan hai ab bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.