KHwab aankhon mein sajaana bhi zaruri Thahra
ḳhvāb āñkhoñ meñ sajānā bhī zarūrī Thahrā
zinda rahne kā bahāna bhī zarūrī Thahrā
us ko ehsās-e-pazīrā.ī dilāne ke liye
dar-o-dīvār sajānā bhī zarūrī Thahrā
jo sitam us ne kiye us ko jatāne ke liye
aa.ina us ko dikhānā bhī zarūrī Thahrā
terī yādeñ jo pareshān kiye rakhtī haiñ
is liye tujh ko bhulānā bhī zarūrī Thahrā
mahv ho jaa.e mire zehn se bhī us kī shabīh
us kī tasvīr haTānā bhī zarūrī Thahrā
ye hai dastūr-e-mohabbat ki hamesha jis meñ
vasl ke saath bichhaḌnā bhī zarūrī Thahrā
apne chehre pe sajā lī hai ye be-kaif hañsī
dard ko dil meñ chhupānā bhī zarūrī Thahrā
rasm-e-ulfat ko nibhānā hai 'sabīha' yuuñ bhī
ruuTh jaa.e to manānā bhī zarūrī Thahrā
KHwab aankhon mein sajaana bhi zaruri Thahra
zinda rahne ka bahana bhi zaruri Thahra
us ko ehsas-e-pazirai dilane ke liye
dar-o-diwar sajaana bhi zaruri Thahra
jo sitam us ne kiye us ko jatane ke liye
aaina us ko dikhana bhi zaruri Thahra
teri yaaden jo pareshan kiye rakhti hain
is liye tujh ko bhulana bhi zaruri Thahra
mahw ho jae mere zehn se bhi us ki shabih
us ki taswir haTana bhi zaruri Thahra
ye hai dastur-e-mohabbat ki hamesha jis mein
wasl ke sath bichhaDna bhi zaruri Thahra
apne chehre pe saja li hai ye be-kaif hansi
dard ko dil mein chhupana bhi zaruri Thahra
rasm-e-ulfat ko nibhana hai 'sabiha' yun bhi
ruTh jae to manana bhi zaruri Thahra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.