KHwab aankhon mein tum sajao to
ḳhvāb āñkhoñ meñ tum sajāo to
kāġhzī kashtiyāñ banāo to
din kā sūraj hai kis gumān meñ ab
lau diye kī zarā baḌhāo to
ek titlī bhaTak rahī hai yahāñ
ruḳh se āñchal zarā haTāo to
are sāhab suno zarā Thahro
merā dil saath le ke jaao to
rañg saaḌī kā aur nikhregā
phuul geñde kā ik lagāo to
aaj mausam bhī ḳhuub Thahrā hai
ek chaa.e kā cup banāo to
saarā manzar samajh meñ aa.egā
aañkh kā zāviya banāo to
KHwab aankhon mein tum sajao to
kaghzi kashtiyan banao to
din ka suraj hai kis guman mein ab
lau diye ki zara baDhao to
ek titli bhaTak rahi hai yahan
ruKH se aanchal zara haTao to
are sahab suno zara Thahro
mera dil sath le ke jao to
rang saDi ka aur nikhrega
phul gende ka ek lagao to
aaj mausam bhi KHub Thahra hai
ek chae ka cup banao to
sara manzar samajh mein aaega
aankh ka zawiya banao to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.