KHwab aaseb se ban nikle meri aankhon se
ḳhvāb aaseb se ban nikle mirī āñkhoñ se
log aise to nahīñ Darte mirī āñkhoñ se
band TuuTā jo mire dil meñ basī aahoñ kā
phuuT nikle haiñ ka.ī chashme mirī āñkhoñ se
raunaqeñ vasl kī phir hijr kī vahshat haa.e
tum ne dekhe haiñ kahāñ mele mirī āñkhoñ se
kitnī ḳhushiyoñ se sajā.e the tire ḳhvāb magar
ab to rātoñ ko haiñ vo rote mirī āñkhoñ se
dekhne vaalā har ik shaḳhs yahī kahtā hai
phuul sūkhe bhī lageñ achchhe mirī āñkhoñ se
ḳhud ko dekhūñ to tirā 'aks nazar aatā hai
kitne hone lage haiñ dhoke mirī āñkhoñ se
terī 'iqrā' ke sabhī she'r haiñ bāteñ terī
tere qisse hī sadā mahke mirī āñkhoñ se
KHwab aaseb se ban nikle meri aankhon se
log aise to nahin Darte meri aankhon se
band TuTa jo mere dil mein basi aahon ka
phuT nikle hain kai chashme meri aankhon se
raunaqen wasl ki phir hijr ki wahshat hae
tum ne dekhe hain kahan mele meri aankhon se
kitni KHushiyon se sajae the tere KHwab magar
ab to raaton ko hain wo rote meri aankhon se
dekhne wala har ek shaKHs yahi kahta hai
phul sukhe bhi lagen achchhe meri aankhon se
KHud ko dekhun to tera 'aks nazar aata hai
kitne hone lage hain dhoke meri aankhon se
teri 'iqra' ke sabhi she'r hain baaten teri
tere qisse hi sada mahke meri aankhon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.