KHwab aisa bhi nazar aaya hai aksar mujhko
ḳhvāb aisā bhī nazar aayā hai aksar mujh ko
lagā jibrīl kā shahpar mirā bistar mujh ko
apne maqsad ke liye lafz banā kar mujh ko
koī dauḌātā hai kāġhaz kī saḌak par mujh ko
Das na le dekho kahīñ dhuup kā manzar mujh ko
tum ne bhejā to hai bal khātī saḌak par mujh ko
sab ko maiñ un kī kitāboñ meñ nazar aatā huuñ
log paḌhte haiñ tire shahr meñ ghar ghar mujh ko
kyuuñ na ghabrā.ūñ ki tanhā huuñ ghanā hai jangal
duur se dekhe hai sannāTe kā lashkar mujh ko
kyuuñ na sahrā ko nichoḌūñ ki mirī pyaas bujhe
degā ik qatra na kanjūs samundar mujh ko
niiñd jab tak thī mirī āñkhoñ meñ mahfūz thā maiñ
qatl lamhoñ ne kiyā ḳhvāb se bāhar mujh ko
merī āñkhoñ ke dahakte hue sho.ale pa na jā
sard kitnā huuñ samajh haath se chhū kar mujh ko
vo pighaltā hai ki 'shāriq' mirā tan jaltā hai
dekhe rakh kar koī sūraj ke barābar mujh ko
KHwab aisa bhi nazar aaya hai aksar mujh ko
laga jibril ka shahpar mera bistar mujh ko
apne maqsad ke liye lafz bana kar mujh ko
koi dauData hai kaghaz ki saDak par mujh ko
Das na le dekho kahin dhup ka manzar mujh ko
tum ne bheja to hai bal khati saDak par mujh ko
sab ko main un ki kitabon mein nazar aata hun
log paDhte hain tere shahr mein ghar ghar mujh ko
kyun na ghabraun ki tanha hun ghana hai jangal
dur se dekhe hai sannaTe ka lashkar mujh ko
kyun na sahra ko nichoDun ki meri pyas bujhe
dega ek qatra na kanjus samundar mujh ko
nind jab tak thi meri aankhon mein mahfuz tha main
qatl lamhon ne kiya KHwab se bahar mujh ko
meri aankhon ke dahakte hue shoale pa na ja
sard kitna hun samajh hath se chhu kar mujh ko
wo pighalta hai ki 'shaariq' mera tan jalta hai
dekhe rakh kar koi suraj ke barabar mujh ko
- Book : عکس بر عکس (Pg. 20)
- Author : شارق جمال
- Publication : شاہد پریس ناگپور (1986)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.