KHwab apne lahu lahu kar ke
ḳhvāb apne lahū lahū kar ke
ro diye terī justujū kar ke
kaise paate the kaif-o-sarshārī
āñkhoñ āñkhoñ se guftugū kar ke
kis qadar pur-sukūn hote the
apne jismoñ ko surḳh-rū kar ke
'ishq be-sūd to nahīñ apnā
sochnā merī aarzū kar ke
lauT aao ki ho ga.e be-bas
yaad terī meñ hāo-hū kar ke
saath mere na chal sakā kuchh der
zindagī merī mushkbū kar ke
ḳhud-kushī tere pyaar meñ kar lī
phir 'sabā' dil ne aarzū kar ke
KHwab apne lahu lahu kar ke
ro diye teri justuju kar ke
kaise pate the kaif-o-sarshaari
aankhon aankhon se guftugu kar ke
kis qadar pur-sukun hote the
apne jismon ko surKH-ru kar ke
'ishq be-sud to nahin apna
sochna meri aarzu kar ke
lauT aao ki ho gae be-bas
yaad teri mein hao-hu kar ke
sath mere na chal saka kuchh der
zindagi meri mushkbu kar ke
KHud-kushi tere pyar mein kar li
phir 'saba' dil ne aarzu kar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.