Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHwab apne meri aankhon ke hawale kar ke

Hasan Abbasi

KHwab apne meri aankhon ke hawale kar ke

Hasan Abbasi

MORE BYHasan Abbasi

    ḳhvāb apne mirī āñkhoñ ke havāle kar ke

    kahāñ hai mujhe nīñdoñ ke havāle kar ke

    merā āñgan to ba-juz tere mahaktā nahīñ!

    bārhā dekhā hai phūloñ ke havāle kar ke

    ek gumnām jazīre meñ utar jā.ūñgā

    apnī kashtī kabhī lahroñ ke havāle kar ke

    kaisā sūraj thā ki phir lauT ke aayā nahīñ

    chāñd taare mirī rātoñ ke havāle kar ke

    mujh ko mā'lūm thā ik roz chalā jā.egā!

    vo mirī 'umr ko yādoñ ke havāle kar ke

    ghar vīrānī badal Daalī hai raunaq meñ 'hasan'

    sahn peḌ parindoñ ke havāle kar ke

    KHwab apne meri aankhon ke hawale kar ke

    tu kahan hai mujhe nindon ke hawale kar ke

    mera aangan to ba-juz tere mahakta hi nahin!

    barha dekha hai phulon ke hawale kar ke

    ek gumnam jazire mein utar jaunga

    apni kashti kabhi lahron ke hawale kar ke

    kaisa suraj tha ki phir lauT ke aaya hi nahin

    chand tare meri raaton ke hawale kar ke

    mujh ko ma'lum tha ek roz chala jaega!

    wo meri 'umr ko yaadon ke hawale kar ke

    ghar ki virani badal Dali hai raunaq mein 'hasan'

    sahn ka peD parindon ke hawale kar ke

    Source :
    • Book : Ham Ne Bhi Mohabbat Ki Hai (Pg. 65)
    • Author : Hassan Abbasi
    • Publication : Nastalique Publications (2009)
    • Edition : 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now