KHwab aur haqiqat ki taswir nazar aai
ḳhvāb aur haqīqat kī tasvīr nazar aa.ī
tadbīr ināñ-gīr-e-taqdīr nazar aa.ī
āfāt-e-musalsal meñ ik rabt nazar aayā
hālāt-e-digar-gūñ meñ zanjīr nazar aa.ī
jo apne naqā.is the vo husn nazar aa.e
auroñ meñ jo ḳhūbī thī taqsīr nazar aa.ī
rāzī-ba-razā ho kar dekhā to musībat bhī
gul-hā-e-shagufta kī zanjīr nazar aa.ī
yādoñ ke jharoke se dekhā to mujhe 'tālib'
ayyām-e-bahārāñ kī tasvīr nazar aa.ī
KHwab aur haqiqat ki taswir nazar aai
tadbir inan-gir-e-taqdir nazar aai
aafat-e-musalsal mein ek rabt nazar aaya
haalat-e-digar-gun mein zanjir nazar aai
jo apne naqais the wo husn nazar aae
auron mein jo KHubi thi taqsir nazar aai
raazi-ba-raza ho kar dekha to musibat bhi
gul-ha-e-shagufta ki zanjir nazar aai
yaadon ke jharoke se dekha to mujhe 'talib'
ayyam-e-bahaaran ki taswir nazar aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.