KHwab dekhe hain umr bhar kya kya
ḳhvāb dekhe haiñ 'umr bhar kyā kyā
ham ne tanhā kiye safar kyā kyā
ek terā hī sāmnā na huā
shahr dekhe phire nagar kyā kyā
jis jagah peḌ the parinde the
bad-numā ban ga.e haiñ ghar kyā kyā
ham vahīñ haiñ chale jahāñ se the
rā.egāñ ho ga.e safar kyā kyā
maut se pahle log marte haiñ
zindagī ne diye haiñ Dar kyā kyā
KHwab dekhe hain 'umr bhar kya kya
hum ne tanha kiye safar kya kya
ek tera hi samna na hua
shahr dekhe phire nagar kya kya
jis jagah peD the parinde the
bad-numa ban gae hain ghar kya kya
hum wahin hain chale jahan se the
raegan ho gae safar kya kya
maut se pahle log marte hain
zindagi ne diye hain Dar kya kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.