KHwab dekhe the suhane kitne
ḳhvāb dekhe the suhāne kitne
jaag uThe dard purāne kitne
ek jalve kī farāvānī se
ban ga.e ā.ina-ḳhāne kitne
chaal se haal kī laate haiñ ḳhabar
log hote haiñ siyāne kitne
buujh kar bhī na batā.ūñ tujh ko
terī muTThī meñ haiñ daane kitne
be-irāda jo hue ashk-e-ravāñ
luT ga.e ġham ke ḳhazāne kitne
tum zarā ruuTh ke dekho to sahī
log aate haiñ manāne kitne
ham ne sirf ek tabassum ke liye
zaḳhm khaa.e haiñ na jaane kitne
Duub marne kā nahīñ koī javāz
zinda rahne ke bahāne kitne
sard-mehrī se tirī mahfil meñ
jal-bujhe log na jaane kitne
yād-e-māzī se simaT aa.e haiñ
ek lamhe meñ zamāne kitne
ik nazar dekhā thā us ne 'sāhir'
gaḌ.h liye dil ne fasāne kitne
KHwab dekhe the suhane kitne
jag uThe dard purane kitne
ek jalwe ki farawani se
ban gae aaina-KHane kitne
chaal se haal ki late hain KHabar
log hote hain siyane kitne
bujh kar bhi na bataun tujh ko
teri muTThi mein hain dane kitne
be-irada jo hue ashk-e-rawan
luT gae gham ke KHazane kitne
tum zara ruTh ke dekho to sahi
log aate hain manane kitne
hum ne sirf ek tabassum ke liye
zaKHm khae hain na jaane kitne
Dub marne ka nahin koi jawaz
zinda rahne ke bahane kitne
sard-mehri se teri mahfil mein
jal-bujhe log na jaane kitne
yaad-e-mazi se simaT aae hain
ek lamhe mein zamane kitne
ek nazar dekha tha us ne 'sahir'
gaDh liye dil ne fasane kitne
- Book : Sehr-e-Khayal (Pg. 14)
- Author : Sahir Hoshiarpuri
- Publication : Modern Publishing House (1990)
- Edition : 1990
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.