KHwab dekhun ki ratjage dekhun
ḳhvāb dekhūñ ki ratjage dekhūñ
vahī gesū khule khule dekhūñ
rañg āhañg raushnī ḳhushbū
ghaTte baḌhte se dā.ere dekhūñ
kyuuñ na dekhūñ maiñ roz-o-shab apne
kyuuñ pahāḌoñ ke silsile dekhūñ
maiñ samī-o-basīr huuñ aisā
sunūñ aañsū to qahqahe dekhūñ
haal ik lamha-e-gurezāñ hai
muḌ ke dekhūñ ki sāmne dekhūñ
tujh ko chhūne baḌhūñ to apne haath
pattharoñ meñ dabe hue dekhūñ
merā chehra bhī ab nahīñ merā
ab kin āñkhoñ se maiñ tujhe dekhūñ
KHwab dekhun ki ratjage dekhun
wahi gesu khule khule dekhun
rang aahang raushni KHushbu
ghaTte baDhte se daere dekhun
kyun na dekhun main roz-o-shab apne
kyun pahaDon ke silsile dekhun
main sami-o-basir hun aisa
sunun aansu to qahqahe dekhun
haal ek lamha-e-gurezan hai
muD ke dekhun ki samne dekhun
tujh ko chhune baDhun to apne hath
pattharon mein dabe hue dekhun
mera chehra bhi ab nahin mera
ab kin aankhon se main tujhe dekhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.