KHwab dekhun koi mahtab lab-e-baam utre
ḳhvāb dekhūñ koī mahtāb lab-e-bām utre
yuuñ bhī ho jaa.e murād-e-dil-e-nākām utre
agle vaqtoñ kī bashārat se ho duniyā raushan
āsmānoñ se zamīñ par tirā in.aam utre
yaad aa.e to khileñ phuul chale purvā.ī
dard jaage to tirā aks tah-e-jām utre
maiñ charāġhoñ se hamesha tirī biitī pūchhūñ
bin batā.e tū mire ghar meñ sar-e-shām utre
maiñ duā māñgūñ kisī nek ghaḌī meñ 'sahbā'
us kā dukh merā muqaddar ho mire naam utre
KHwab dekhun koi mahtab lab-e-baam utre
yun bhi ho jae murad-e-dil-e-nakaam utre
agle waqton ki bashaarat se ho duniya raushan
aasmanon se zamin par tera inam utre
yaad aae to khilen phul chale purwai
dard jage to tera aks tah-e-jam utre
main charaghon se hamesha teri biti puchhun
bin batae tu mere ghar mein sar-e-sham utre
main dua mangun kisi nek ghaDi mein 'sahba'
us ka dukh mera muqaddar ho mere nam utre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.