KHwab dikhae jaenge tabir banai jaegi
ḳhvāb dikhā.e jā.eñge tā'bīr banā.ī jā.egī
naqsh sameTe jā.eñge tasvīr banā.ī jā.egī
pahle kūza-gar mūrat mansūb karegā rāñjhe se
phir us kī TeḌhī paslī se hiir banā.ī jā.egī
bachpan hī se zehnoñ meñ ik ḳhauf biThā kar rakkheñge
aur hāthoñ par pencil se zanjīr banā.ī jā.egī
pahle-pahal to māthe un ke ġhaur se dekhe jā.eñge
aaḌī TeḌhī shiknoñ par taqdīr banā.ī jā.egī
KHwab dikhae jaenge ta'bir banai jaegi
naqsh sameTe jaenge taswir banai jaegi
pahle kuza-gar murat mansub karega ranjhe se
phir us ki TeDhi pasli se hir banai jaegi
bachpan hi se zehnon mein ek KHauf biTha kar rakkhenge
aur hathon par pencil se zanjir banai jaegi
pahle-pahal to mathe un ke ghaur se dekhe jaenge
aaDi TeDhi shiknon par taqdir banai jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.