Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHwab-e-rahat mein kho gae hain log

Nazim Sultanpuri

KHwab-e-rahat mein kho gae hain log

Nazim Sultanpuri

MORE BYNazim Sultanpuri

    ḳhvāb-e-rāhat meñ kho ga.e haiñ log

    hasb-e-ma.amūl so ga.e haiñ log

    rote rote rah-e-mohabbat meñ

    āñsuoñ ko bhī ro ga.e haiñ log

    merī āñkhoñ meñ kyā nazar aayā

    daf.atan aag ho ga.e haiñ log

    kabhī taḌpe haiñ lāla-o-gul par

    kabhī kāñToñ pe so ga.e haiñ log

    apne ehsās ke tanūroñ meñ

    beshtar raakh ho ga.e haiñ log

    ek tīr-e-sitam kyā shikva

    kitne nashtar chubho ga.e haiñ log

    merī rāh-e-hayāt meñ jaise

    ḳhaar ḳhaar bo ga.e haiñ log

    yahī ronā hayāt 'nāzim'

    tum se pahle bhī ro ga.e haiñ log

    KHwab-e-rahat mein kho gae hain log

    hasb-e-mamul so gae hain log

    rote rote rah-e-mohabbat mein

    aansuon ko bhi ro gae hain log

    meri aankhon mein kya nazar aaya

    dafatan aag ho gae hain log

    kabhi taDpe hain lala-o-gul par

    kabhi kanTon pe so gae hain log

    apne ehsas ke tanuron mein

    beshtar rakh ho gae hain log

    ek tir-e-sitam ka kya shikwa

    kitne nashtar chubho gae hain log

    meri rah-e-hayat mein jaise

    KHar hi KHar bo gae hain log

    yahi rona hayat ka 'nazim'

    tum se pahle bhi ro gae hain log

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now