KHwab-e-sahar ka dekhne wala to main bhi hun
ḳhvāb-e-sahar kā dekhne vaalā to maiñ bhī huuñ
sūraj nahīñ huuñ shaam kā taarā to maiñ bhī huuñ
yūsuf ko dekhtā huuñ maiñ chashm-e-zuleḳhā se
gauhar nahīñ guhar kā shanāsā to maiñ bhī huuñ
dariyā ke saath chalnā gavārā nahīñ mujhe
bahtā huuñ apnī rau meñ ki dhārā to maiñ bhī huuñ
dekhā nahīñ kisī ne bhī merī taraf magar
āñkhoñ kī rāhguzār se guzrā to maiñ bhī huuñ
dariyā ko maiñ bhī dariyā samajhtā huuñ dosto
Duubā agar nahīñ huuñ safīna to maiñ bhī huuñ
vahshat mire sipurd bhī kar mujh se bhī to mil
sahrā nahīñ huuñ ret kā zarra to maiñ bhī huuñ
KHwab-e-sahar ka dekhne wala to main bhi hun
suraj nahin hun sham ka tara to main bhi hun
yusuf ko dekhta hun main chashm-e-zuleKHa se
gauhar nahin guhar ka shanasa to main bhi hun
dariya ke sath chalna gawara nahin mujhe
bahta hun apni rau mein ki dhaara to main bhi hun
dekha nahin kisi ne bhi meri taraf magar
aankhon ki rahguzar se guzra to main bhi hun
dariya ko main bhi dariya samajhta hun dosto
Duba agar nahin hun safina to main bhi hun
wahshat mere sipurd bhi kar mujh se bhi to mil
sahra nahin hun ret ka zarra to main bhi hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.