KHwab-e-shab-e-pur-kaif ki tabir to dega
ḳhvāb-e-shab-e-pur-kaif kī ta.abīr to degā
kuchh aur nahīñ apnī vo tasvīr to degā
jaate hue yak baar palaT kar mirī jānib
vo merī mulāqāt ko tauqīr to degā
añgḌā.iyoñ ke saath vo gesū kā nazāra
zulfoñ kī mire paañv meñ zanjīr to degā
maqsūd use qatl hai to dekhnā ik din
hāthoñ meñ mire dost ke shamshīr to degā
kho jaa.e na zulmat meñ kahīñ ziist ye merī
vo rāh-e-vafā meñ mujhe tanvīr to degā
inkār-e-mohabbat pe bhī 'rahbar' ko yaqīñ hai
vo an-kahī har baat kī tafsīr to degā
KHwab-e-shab-e-pur-kaif ki tabir to dega
kuchh aur nahin apni wo taswir to dega
jate hue yak bar palaT kar meri jaanib
wo meri mulaqat ko tauqir to dega
angDaiyon ke sath wo gesu ka nazara
zulfon ki mere panw mein zanjir to dega
maqsud use qatl hai to dekhna ek din
hathon mein mere dost ke shamshir to dega
kho jae na zulmat mein kahin zist ye meri
wo rah-e-wafa mein mujhe tanwir to dega
inkar-e-mohabbat pe bhi 'rahbar' ko yaqin hai
wo an-kahi har baat ki tafsir to dega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.