KHwab-e-ulfat bhi haqiqat ka nishan puchhta hai
ḳhvāb-e-ulfat bhī haqīqat kā nishāñ pūchhtā hai
ab mirā dost mirī jaañ kī amaañ pūchhtā hai
dil hai be-mehr ki is ālam-e-tanhā.ī meñ
duur nafrat se mohabbat kī zabāñ pūchhtā hai
dukh to ye hai ki tire shahr meñ āvāra-chalan
qātil-e-uns bhī phūloñ kī dukāñ pūchhtā hai
'aql to 'aql thī ab bār-e-junūñ meñ sho'la
be-karāñ ho ke mire dil kā makāñ pūchhtā hai
mausam-e-gul hai magar ġham se pareshāñ taa.ir
sūd-e-bīnā.ī meñ ik kār-e-ziyāñ pūchhtā hai
ab bhalā koī nibhā.e to nibhā.e kaise
ab ta'alluq bhī nibhāne ko ye jaañ pūchhtā hai
tum kaho kaise raqam koī suḳhan ho 'kāvish'
bāġh-e-dil jab ki bahāroñ meñ ḳhizāñ pūchhtā hai
KHwab-e-ulfat bhi haqiqat ka nishan puchhta hai
ab mera dost meri jaan ki aman puchhta hai
dil hai be-mehr ki is aalam-e-tanhai mein
dur nafrat se mohabbat ki zaban puchhta hai
dukh to ye hai ki tere shahr mein aawara-chalan
qatil-e-uns bhi phulon ki dukan puchhta hai
'aql to 'aql thi ab bar-e-junun mein sho'la
be-karan ho ke mere dil ka makan puchhta hai
mausam-e-gul hai magar gham se pareshan tair
sud-e-binai mein ek kar-e-ziyan puchhta hai
ab bhala koi nibhae to nibhae kaise
ab ta'alluq bhi nibhane ko ye jaan puchhta hai
tum kaho kaise raqam koi suKHan ho 'kawish'
bagh-e-dil jab ki bahaaron mein KHizan puchhta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.