KHwab-gar KHwab banata hi chala jata hai
ḳhvāb-gar ḳhvāb banātā hī chalā jaatā hai
jis ko jo aa.e samajh us ko uThā laatā hai
raat bujhtī hai to jaag uThte haiñ vahshī manzar
din ujaḌtā hai to dil ḳhauf pe uksātā hai
tū ne jalte hue manzar ko havā kyuuñ dī thī
raakh ab uḌne lagī hai tū kidhar jaatā hai
ye tire soche hue rañg kā muhtāj nahīñ
husn to husn hai har rañg meñ itrātā hai
dekhne vaale mohabbat kī nazar se dekheñ
maiñ vo manzar huuñ jise husn-e-nazar bhātā hai
ai moallim kī tarah ishq paḌhāne vaale
ishq lecture se nahīñ kar ke samajh aatā hai
ek mushtāq-nigāhī kī talab meñ 'shāhid'
jis ko dekho vahī tasvīr huā jaatā hai
KHwab-gar KHwab banata hi chala jata hai
jis ko jo aae samajh us ko uTha lata hai
raat bujhti hai to jag uThte hain wahshi manzar
din ujaDta hai to dil KHauf pe uksata hai
tu ne jalte hue manzar ko hawa kyun di thi
rakh ab uDne lagi hai tu kidhar jata hai
ye tere soche hue rang ka muhtaj nahin
husn to husn hai har rang mein itraata hai
dekhne wale mohabbat ki nazar se dekhen
main wo manzar hun jise husn-e-nazar bhata hai
ai moallim ki tarah ishq paDhane wale
ishq lecture se nahin kar ke samajh aata hai
ek mushtaq-nigahi ki talab mein 'shahid'
jis ko dekho wahi taswir hua jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.