KHwab hain sare nae aankh purani meri
ḳhvāb haiñ saare na.e aañkh purānī merī
hai tazādāt se bharpūr kahānī merī
tujh se maiñ kahtā na thā andhī havā se bachnā
sun ke bhī ek yahī baat na maanī merī
khā gayā karb-e-zamāna mire lahje kā vaqār
aam thī varna yahāñ sho.ala-bayānī merī
ufuq-e-dil pe ye bujhtā huā rangoñ kā hujūm
māñgtā rahtā mujhī se hai nishānī merī
din kā har zaḳhm maiñ rātoñ ko ginā kartā huuñ
din hai be-kaif mirā raat suhānī merī
mīThe chashmoñ se jo guzroge yaqīn hai mujh ko
yaad aa.egī bahut tishna-dahānī merī
phailnā hai mirī fitrat meñ ki huuñ mauja-e-gul
rā.egāñ jā.egī kab ḳhū-e-ravānī merī
KHwab hain sare nae aankh purani meri
hai tazadat se bharpur kahani meri
tujh se main kahta na tha andhi hawa se bachna
sun ke bhi ek yahi baat na mani meri
kha gaya karb-e-zamana mere lahje ka waqar
aam thi warna yahan shoala-bayani meri
ufuq-e-dil pe ye bujhta hua rangon ka hujum
mangta rahta mujhi se hai nishani meri
din ka har zaKHm main raaton ko gina karta hun
din hai be-kaif mera raat suhani meri
miThe chashmon se jo guzroge yaqin hai mujh ko
yaad aaegi bahut tishna-dahani meri
phailna hai meri fitrat mein ki hun mauja-e-gul
raegan jaegi kab KHu-e-rawani meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.