KHwab hamara TuT gaya hai
ḳhvāb hamārā TuuT gayā hai
raat añdherī niiñd ḳhafā hai
dariyā meñ ik patthar pheñkā
maazī merā jaag uThā hai
shāyad maiñ bhī zahr piyūñgā
haat meñ ik niilī rekhā hai
ḳhvāhish kī tīkhī lazzat ne
sharm kā dāman chaak kiyā hai
pheñk 'razā' ye kaalī chādar
raat kā siina chaak huā hai
KHwab hamara TuT gaya hai
raat andheri nind KHafa hai
dariya mein ek patthar phenka
mazi mera jag uTha hai
shayad main bhi zahr piyunga
hat mein ek nili rekha hai
KHwahish ki tikhi lazzat ne
sharm ka daman chaak kiya hai
phenk 'raza' ye kali chadar
raat ka sina chaak hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.