KHwab ho KHwab mein aate ho chale jate ho
ḳhvāb ho ḳhvāb meñ aate ho chale jaate ho
diid kā jaam luñDhāte ho chale jaate ho
kisī ummīd pe duniyā meñ mujhe zinda rakho
aate ho aas bañdhāte ho chale jaate ho
merī āñkhoñ meñ jo lāsha hai mire ḳhvāboñ kā
is pe rote ho rulāte ho chale jaate ho
qissa-e-dard kisī taur na bhūle mujh ko
roz aate ho sunāte ho chale jaate ho
kyuuñ mirī āñkhoñ meñ har roz na.e aas ke phuul
dosto aa ke khilāte ho chale jaate ho
mere zaḳhmoñ ke liye laao naañ marham bhī kabhī
in pe bas jashn manāte ho chale jaate ho
raah bhūle na koī dasht kā raahī 'tāriq'
is liye diip jalāte ho chale jaate ho
KHwab ho KHwab mein aate ho chale jate ho
did ka jam lunDhate ho chale jate ho
kisi ummid pe duniya mein mujhe zinda rakho
aate ho aas bandhate ho chale jate ho
meri aankhon mein jo lasha hai mere KHwabon ka
is pe rote ho rulate ho chale jate ho
qissa-e-dard kisi taur na bhule mujh ko
roz aate ho sunate ho chale jate ho
kyun meri aankhon mein har roz nae aas ke phul
dosto aa ke khilate ho chale jate ho
mere zaKHmon ke liye lao nan marham bhi kabhi
in pe bas jashn manate ho chale jate ho
rah bhule na koi dasht ka rahi 'tariq'
is liye dip jalate ho chale jate ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.