KHwab ek haqiqat ko dekhne pe mail tha
ḳhvāb ik haqīqat ko dekhne pe maa.il thā
aañkh bhar samundar meñ merā aks shāmil thā
ghoñsle nahīñ chhoḌe jis ne merī shāḳhoñ par
kaun aisā vahshī thā kaun aisā qātil thā
jis ne mujh ko dariyā meñ Dūbte hue dekhā
kyā kahūñ zamāne se mauj thī ki sāhil thā
mas.ala koī to hai jis ne us ko rokā hai
varna saath chalne par dosto vo maa.il thā
rāste meñ chhoḌā hai 'ahmad' us sitamgar ne
vo hī merā rasta thā vo hī merī manzil thā
KHwab ek haqiqat ko dekhne pe mail tha
aankh bhar samundar mein mera aks shamil tha
ghonsle nahin chhoDe jis ne meri shaKHon par
kaun aisa wahshi tha kaun aisa qatil tha
jis ne mujh ko dariya mein Dubte hue dekha
kya kahun zamane se mauj thi ki sahil tha
masala koi to hai jis ne us ko roka hai
warna sath chalne par dosto wo mail tha
raste mein chhoDa hai 'ahmad' us sitamgar ne
wo hi mera rasta tha wo hi meri manzil tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.