KHwab ek maine yun bhi dekha hai
ḳhvāb ik maiñ ne yuuñ bhī dekhā hai
mere lab haiñ aur us kā māthā hai
baat karne ke sau tarīqe haiñ
kuchh na kahnā bhī ik tarīqa hai
merī majbūriyāñ to zāhir haiñ
aap ko kis ne rok rakkhā hai
milte-julte rahā karo yaaro
mujh ko tanhā.iyoñ se ḳhatra hai
hausla rakh yaqīn kar merā
dasht se do qadam pe dariyā hai
pahle sunñā samajhnā phir kahnā
guftugū kā yahī salīqa hai
ye parinda to uḌ gayā hotā
ik tasavvur ne bāñdh rakkhā hai
daur aa.egā terā mere 'azīz'
daur aane meñ vaqt lagtā hai
KHwab ek main ne yun bhi dekha hai
mere lab hain aur us ka matha hai
baat karne ke sau tariqe hain
kuchh na kahna bhi ek tariqa hai
meri majburiyan to zahir hain
aap ko kis ne rok rakkha hai
milte-julte raha karo yaro
mujh ko tanhaiyon se KHatra hai
hausla rakh yaqin kar mera
dasht se do qadam pe dariya hai
pahle sunna samajhna phir kahna
guftugu ka yahi saliqa hai
ye parinda to uD gaya hota
ek tasawwur ne bandh rakkha hai
daur aaega tera mere 'aziz'
daur aane mein waqt lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.